Friday 18 November 2011

Ghazal SMS & Messages



Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !

WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !

Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !

Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !

Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi….


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.

kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.

meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…

Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..

Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……

Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,

Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,

Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !

Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !

Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !

Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !

Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!

Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!

Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!

Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !

Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye!

Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !

Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !

In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!

Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!

Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay !


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !

Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !

Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !

Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !

Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !

Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange !!


* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


No comments:

Post a Comment